Wednesday, 29 October 2014

AUR SAMAJH AAYA KI....

yuun dhoondte jo yahan wahan chale, 
kabhi zameen pe , toh kabhi aasmaan tale
kuch pal jo aasu bahate chale,
phir wo dhundle se raste saaf dikhne lage,

aur samajh aaya ki khud humne...


khud humne hi toh wo dhoond banayi thi..

haste khelte dil se ,mulakat uss tanhai ki..
wo muskurahat bhi khoob mili hame,
istimaal jiska hamne kiya hrr lamhe,

aur samajh aaya ki khud humne...

Khud hamne hi toh bhatakna manzoor kiya ...
aasaan sawalo ka mushkil jawab buun diya ..
jo dhoondne chale thei wo toh paas hi thaa..
bas kabhi iss baat ka ehsaas na thaa..

(c) Parul Sharma

30/10/2014





No comments:

Post a Comment